App Kaise banaye? Follow Easy steps

Hello Friends aap ko app ke bare me achhe se pata hoga aur har koi apni ek app banana chahta hai isliye aaj hum batayenge ki bina coding ke Android app kaise bnaye wo bhi kuch easy steps ke duara to shuruaat karte hai…



App Kaise banaye – Follow Easy Step


App ham kai tariko se bana sakte hai jaise ki coding ke duara aur kuch website ki help lekar jisme ki coding ke duara app banana kafi kathin pad jata hai aur agar aap android coding se apna app banana chahte ho to aapko Android ko ache si seekhna hoga jisme ki kafi samye lag jata hai aur kafi costly ho jata hai leking is samye internet par aisi kai website available hai jaise appsgeyser.com jisse ham bina coding seekhe ek shandhar app asaani se banaya ja sakte hai.


Appsgeyser Se App Kaise Banaye :- 


Appsgeyser ek shandhar website hai jisse ham asaani se Free Androd App bana sakte hai to chaliye dhekhe ki free app kaise  banaye?

Step 1appsgeyser.com site par jana hai aur Create Now button par click karna hai 

Step 2– Ab aapke samne 2 option dhikhenge pehla Create app to earn or dusra Create app to grow yaha apko jis trike ka app banana hai us par click karna hai ham aapko website ka app kaise banaye yeh batayenge.

Step 3 – Create app to grow par click karna hai aur fir Business website par click karna hai

Step 4 – Ab aapko apni website ka Url enter karna hai jis website ka app aap banana chah rahe ho.

Step 5–  Url dalne ke bad aapko app ka name enter karna hai fir aapko ek icon upload karna hai.

Step 6 – Ab aapko Create button par click karna hai jiske bad aapse sign up karne ke liye kaha jayega

Step 7 – yaha aap Gmail ya Facebook se direct Sign up bhi kar sakte ho. agar aap direct nahi karna 

chahte hai to Gmail id aur password enter karke sign up kare.

Note – Agar aap direct sign up karte ho to apke koi verify otp nahi aayega aur agar aap gmail id or passwoed ke sath sign up karte ho to aapko otp verify karna hoga.

Iske bad aap appsgeyser ke dasboard par pahuch jaoge yaha aapka app ban kar taiyar ho chuka hoga bus aapko download link par click karna hai jiske bad aap app download kar sakte hai.

App ke Fayde Kya hai :-


App banane se kai fayde ho sakte hai isse ap online earning kar sakte ho jaise ki maine upar bataya tha appsgeyser me 1st option Create app to earn hi tha jisse ham banaye gye app me adsense lagakar asaani se money earn kar sakte hai aur dusra agar aapka koi business hai to isse  business me achaa-khasha growth kar sakte ho to soch kya kar rahe ho dosto bloggingtechmantra duara likhe gye article ko padhe aur apna ek free app jarur banaye.

Also Read – 

Leave a Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *